Sunday, June 13, 2010

Hadith

Hazrat Abu Saayed Khidry (R.A) se raiwyat ha k aik moqa pr Ap (S.A.W.W) ne irshad farmaya: Sucha aur Ammant-dar tajr Aanbya, Sadqeen aur Shuhda ky sath ho ga.

Saturday, June 12, 2010

Hadith

Hazrat Abdullah Bin Umroo Bin Al-Aas (R.A) raiwyat krty han k Ap (S.A.W.W) ne shab-beedari aur nafl rozoon main zyadty ki mamaant farmaty hoay irshad farmaya k tumhary badn ka b tum pr haq ha. Tumhari aankh ka b tum pr haq ha.

Hadith

Hazrat Abu Imaama (R.A) farmaty han k aik shakhs Allah ky Rasool (S.A.W.W) ki khidmat ma hazir hoya aur aerz kya:
Ya-Rasulallah (S.A.W.W) aulaad pr MAA, BAAP ka kya haq ha?
Ap (S.A.W.W) ne irshad farmaya:
Doono taary lye jannat b han aur dozakh b. (yani in ki khidmat jannat aur in ki naarazgi dozakh ha)

Hadith

Hazrat Abdullah Bin Qaart (R.A) se raiwyat ha k Ap (S.A.W.W) ne farmaya:
Sub se pehly qyamat ma js chez ka bandy se hisaab ho ga wo NAMAZ ha, agr wo is pr pura autrta ha to is ky saary amal drust hon gay. Agr NAMAZ kharab nikli to is ky saary amal khrab niklyan gay.